वक़्त चिराग़ों के बुझ जाने को है

वक़्त चिराग़ों के बुझ जाने को है
सुबह यकीनन जल्द ही आने को है

जाना पड़ता है सबको अकेले ही
सफ़र जनाजे का जी बहलाने को है

चाक पर रक्साँ हैं उंगलियां अभी
ये मिट्टी नए ढंग में ढल जाने को है

मुझे कुछ दिखाई क्यूं नहीं देता यारों
क्या आखिरी उम्मीद भी बुझ जाने को है

ये दौलत, ये शोहरत, ये ज़र-ज़मी
शायद खुद को ही बहकाने को है

ये सन्नाटा सा छा गया चार-सू कैसा
ज़िन्दगी फिर कुछ फरमाने को है

Waqt chiraaghoN ke bujh jaane ko hai
SubH yakeenan jald hi aane ko hai

Jaana padta hai sabko akele hi
Safar janaaze ka ji bahlaane ko hai

Chaak par raksaN hain ungliyaan abhi
Ye mitti naye dhang mein ghal jaane ko hai

Mujhe kuchh dikhaai kyun nahin deta yaaroN
Kya aakhiri ummeed bhi bujh jaane ko hai

Ye daulat, ye shohrat, ye zar-zameeN
Shayad khud ko hi bahkaane ko hai

Ye sannata sa chha gaya chaar-su kaisa
Zindagi phir kuchh farmaane ko hai

Subscribe to Blog via Email

Receive notifications of new posts by email.

Discover more from ओझल

Subscribe now to keep reading and get access to the full archive.

Continue reading