ज़माना खौफ़-ए-वहशत

सारा ज़माना इक खौफ़-ए-वहशत में है
हर शख्स किसी बेनाम सी दहशत में है

साकी तेरी मय है बहुत मशहूर मगर तू
पूछ कभी शाह से जो नशा ताकत में है

चाहते तो मुहब्बत से भी काम ले सकते थे
मगर ज़ुल्म करना आपकी फितरत में है

तलवार खींचने से पहले करे है सलाम वो
यानी अब डर मुझे उसकी कुरबत में है

उसने कहा था आग लगेगी, आग लगी
मैं कैसे मान लूं खोट उसकी नीयत में है

मैं खोज रहा हूं कोई हक परस्त इंसां
ये नाकाम तलाश अब मेरी किस्मत में है
==============================
Saara zamaana ik khauf-e-vahshat mein hai
har shakhs kisi benaam si dahshat mein hai

Saki teri may hai bahut mash-hur magar tu
puchh kabhi shah se jo nasha taaqat mein hai

chahte to muhabbat se bhi kaam le sakte the
Magar zulm karna aapki fitrat mein hai

Talwar kheenchne se pahle kare hai salaam vo
Yaani ab dar mujhe uski qurbat mein hai

Usne kaha tha aag lagegi, aag lagi
Main kaise maan luN khot uski niyat mein hai

Main khoj raha hun koi haq-parast insaaN
Ye naakam talash ab meri kismat mein hai

Subscribe to Blog via Email

Receive notifications of new posts by email.

Leave a comment

%d bloggers like this: